Khuda Karay Kay Meri Arz-e-Pak Pay Utray
Woh Fasl-e-Gul Jissay Andesha-e-Zawwal Na Ho
Yahan Jo Phool Khillay Khila Rahay Sadiyon
Yahan Say Khizan Ko Guzarnay Ki Majaal Na Ho
Yahan Jo Sabza Ugay Hamesha Sabz Rahay
Aur Aisa Sabz Kay Jisski Koi Misaal Na Ho
Khuda Karay Kay Na Kham Ho Sir-e-Wiqar-e-Watan
Aur Iss Kay Husn Ko Tashweesh-e-Mah o Saal Na Ho
Har Aik Fard Ho Tahzeeb-o-Fun Ka Aouj-e-Kamaal
Koi Malool Na Ho, Koi Khasta Haal Na Ho
Khuda Karay Meray Aik Bhi Ham Watan Kay Liyay
Hayat Jurram Na Ho, Zindagi Wabaal Na Ho
Similar Posts:
- Khuda Kare K Meri Arz-e-Pak Per Utre
- Hindi Naya Saal Shayari
- Kay Teray Janam Din Par
- New Qaumi Tarana
- Zindagi Husn Hai, Ranai Hai, Dildari Hai
- Aapka Rishta Lekar Aapki Saas Aajae
- Khulein Jo Lab To Dua Dein Aap Ko
- Chand Raat Mubarak Ho
- Hum Nay Jo Wada Kya Tha Wo Nibahaee Jaaa Rahay Hain
- Jaago Pakistan
